Saturday, March 10, 2018

Muhase ke liye gharelu ilaaj





Hello...DOSTO

Aaj mein apko muhase ( pimple) hatane ka gharelu ilaaj ke bare mein batane wali hun..muhase se har koi pareshan hai, muhase ki wajah se chehra be rang ho jata hai, chehra daag- dhabbo se bhar jata hai, muhase ki wajah se bahar nikalna bhi mushkil ho jata hai, logo se chehra chupana padta hai,, muhase ki wajah  se bahut Takleef hoti hai..


Dosto jab bhi kisi ko muhase ate hai tab woh log bahut tension mein aa jate hai, muhase hatane ke liye har ek dawa karte hai, mehangi se mehngi dawa bazar se kharidte hai lekin us waqt woh dawa bhi kuch asar nahi karti, aise mein woh log nirash ho jate hai, kya kare aur kya na kare sochte rahte hai,  kuch log apni man pasand dishes khana bhi chod dete hai, kyuki un logo ka manana hai ki pet saaf rakhne se muhase nahi ate aur  chale jate hai, 


Dosto baat toh sahi hai lekin muhase  ke liye  mann pasand khana chod dena, yeh baat sahi nahi hai, kuch aisa ilaaj karo ki  jisse muhase bhi chale jaye aur aap apna man pasand khana bhi kha sako, muhase ke liye khana nahi chodna balki accha gharelu ilaaj karo,, jo log muhase se pareshan hai un logo ke liye main ek badhiya aur bahut accha asardar gharelu dawa share karne wali hun..


Ji haan..Dosto main apko muhase hatane ka  ek gharelu upay batane ja rahi hun, jisse aap ko kuch karne ki zarurat nahi hai, kha ana pina kuch bhi nahi chodna hai aur jyada paise bhi kharch nahi honge,  ekdum mast aur asardar dawa aapke kitchen  mein available hai... aur uss ilaaj ka naam hai " TURMERIC POWDER" ( pisi hui haldi) yeh ilaj ekdum asardar dawa  hai aur aapke muhase ek week mein hi chale jayenge, uske sath aap bahut gore bhi ho jaoge.


                 TURMERIC POWDER

Muhase ke liye gharelu ilaaj


haldi mein  antioxidant aur anti-inflammatory  ghatak hote hain. ye tvacha pe  chamak pradaan kar sakti hai. turmeric daag dhabbe aur skin se judi kisi bhi problems par bahut hi satik tarike se kaam karti hai,
 haldi  apani praakrtik chamak laakar aapake tvacha ko punarjeevit kar sakti hai aur turmeric se apke chehre pe natural glow aa jayega,,


Muhase ( pimple) hatane ka sirf ek gharelu ilaaj, Sabse  accha aur sabse faydemand ilaaj, 


MUHASE ( PIMPLE ) HATANE KE ILAJ KE LIYE AAPKO CHAHIYE......


1) TURMERIC POWDER ( PISI HUI HALDI)


2) LEMON ( LUMBU)


3) CURD ( DAHI )


AB IS UPAY KO BANANE KA TARIKA -


1)  Ek Choti katori lo aur us     katori mein  2 - 3  tablespoon Turmeric  powder, 1 tablespoon lemon juice,  1 curd, 


2) ab yeh teen cheezo ko acchi tarah se mix karo, aur gada paste banalo, 


3)  phir iss mixture ko apne chehre pe laga lo aur ankhon ke niche bhi acchi tarah se laga lo,


4)   pure  chehre pe lagane ke bad ise sukhane do aur sukhane ke bad  paani se chehre ko dho lo,




ISS UPAY KO ROJ LAGANE SE AAP KE MUHASE ( PIMPLE) HAMESHA KE LIYE CHALE JAYENGE AUR APKA CHEHRA BAHUT GORA  AUR SUNDAR HO JAYEGA,,




ISS UPAY SE HONE WALE FAYDE - 


1) Chehre pe se muhase hamesha ke liye chale jate hai ,


2) Chehre pe se daag - dhabbe chale jate hai,

3) c
hehre pe se jhuriya chali  jati hai,

4) chehra  ek dum clean ho jata hai,


5) Chehra  bahut mulayam ho jata hai,


6) Chehra ekdam jawan dikhne lagta hai,


7) Chehre pe chamak aa jati hai,


 8) chehra ekdam  be- daag Gora ho jata hai,


9) Chehra ekdam healthy ho jata hai,

***********************

Yeh upay zarur kijiye agar apko bhi muhase se pareshan ho aur koi dawa kaam nahi kar rahi toh Iss upay ko use karo aur aap bhi  muhase ( pimple) ekdum chale jayege aur be- daag gore ho jao..iss upay se apka chehra gora bhi hoga, chehra fresh rahega aur chamakta Rahega.. dosto agar apko aur kuch upay ya phir koi beauty tips chahiye aur agar koi sawal ho puchna hai toh niche  diye gaye "COMMENTS BOX " mein puch sakte ho...

Dhanyawad,



No comments:

Post a Comment