Saturday, March 17, 2018

Beetroot juice ke fayde




BEETROOT JUICE SEHAT  KE LIYE BAHUT HEALTHY HAI

 Hello...Dosto,

Aaj main beetroot ke fayde batane wali hun. Beetroot ( chukandar) humare body ke liye bahut healthy hota hai, Beetroot juice  pine se humari body ko bahut sare fayde hote, Sabhi ko Beetroot juice pina chahiye aur healthy rehna chahiye,

Dosto yeh hi aaj main batane Ja rahi hu, kya kya fayde hote hai, aur kitna asardar hai humari body ke liye,,Beetroot market main asani se mil jata hai, ekdum sasta hota hai lekin  health ke liye bahut gunkark hota hai,,

           BEETROOT JUICE



Beetroot mein bahut nutrition hote hai aur woh nutrition humare health ke liye bahut accha aur gunkark hai,

avashyak poshak tatvo se bharpoor, chukandar phaibar, pholet (vitamin B9), manganese, potassium, aayaran aur vitamin see ka ek bada srot hai. chukandar aur chukandar ke ras ko kai svaasthy laabhon se joda gaya hai. bharpoor  humari health ke liye bahut accha hai,

 

Beetroot juice se hone wale fayde...

1) body mein Blood ki kami ko door karta hai,

2) Beetroot mein mineral hai, aur hamare body mein calcium ki kami lo door karta hai,aur calcium se  dant aur haddiyon ko strong rakhta hai,,

3) Beetroot mein bahut jyada fiber hai aur fiber pet  ke liye bahut accha hota hai pet ko saaf rakhta hai, Vishari ann bahar nikalte hai ( detoxify body ),  blood ko saaf karta hai ( blood purification )

4)  Beetroot juice se let ke rog thik ho jate hai, gastric problem se chutkara milta hai,


5) Beetroot  se jodo ka dard door ho jata hai,,


6) Beetroot BP ke liye bahut accha hai, high blood pressure aur cholesterol  ko kam karta hai,

7) Beetroot se yaad dash strong ho jati hai,

8) Beetroot se body ko energy milti hai aur fat hone se bachata hai ( fat free)

9) Beetroot se body ke ghaw  thik ho jate hai, ( wound healing)

10) Beetroot se piliya thik ho jata hai,,

11) Beetroot se chehre pe se dag- dhabbe aur jhuriya kam ho jate hai, beetroot juice chehre pe ragadne se  chehra gulabi ho jata hai, chehre pe lali aa jati hai, chehra khil jata hai,,

12) Beetroot  pregnancy ke liye bahut accha hai,  beetroot mein folic acid hai aur yeh pregnant lady aur uske bache ke liye bahut faydemand hai,

13) Beetroot juice  stamina ko badhata hai,,

14) Beetroot juice  period ke dino mein bahut accha hota hai, blood ki kami ko door karta hai,

15) Beetroot juice se moch thik ho jati hai,



Beetroot juice  pine se iss prakar ke fayde hote hai, toh beetroot juice ( chukandar ka jus) piya karo aur healthy  ho jao,, Beetroot juice pine se body fit , fine aur healthy  rengi,,

Beetroot juice ghar mein bhi ban sakta hai, beetroot juice pine ke liye apko kahi jane ki zarurat nahi hai, Beetroot market se lao aur  ghar mein asani se  juice bana ke pi sakte ho,,

 **Beetroot juice ko ghar mein banane ka tarika**



  • Pehle Beetroot ko acchi tarah se dho lo,

  • Phir use cchilo aur barik barik tukde karke use mixture jar  mein dalo aur thoda pani bhi dalo,

  • Uske bad use pis lo  ekdum acchi tarah se  barik pis lo,

  • Ek badi katori lo us pe cotton kapda lo aur katori ke upar fila lo,

  • Phir wo pisa hua Beetroot us cotton kapde pe pura dalo aur use acchi tarah se nichod lo,

  • Juice nikalne tak use acchi tarah se  kapde ke sath nichodte rahiye aur  nichodne ke bad  is Beetroot ko  fek do,

  • Aur phir apka Beetroot juice pine ke liye ban gaya,,

  • Use Beetroot juice ko pura pi lijiye aur healthy ho jaiye,,


Iss tarah se Aap ghar mein Beetroot juice banaya  kijiye aur  piya kijiye...            


No comments:

Post a Comment