Hello...dosto,
Agar aap bhi girte huye hair se pareshan ho aur apke hair grow nahi karte hai, toh apko pareshan hone ki koi jarurat nahi hai, kyunki main apko kuch aisi gharelu ilaaj batane wali hun,, jise apke hair girege nahi balki bahut tezi se grow karege aur apke hair healthy, stronger, longer, shiny aur silky ho jayenge,,
Uske liye apko chahiye ko methi ke daane,, ji ha dosto methi ek aisi chjiz se jisse apki sai hair problems door ho jayegi,, agar hair ko leker apko koi bhi problem ho toh be hizak aap methi ke daane ko use karke apme hair problems ko door kar sakte ho,,
Har koi girte huye hair aur dandruff se pareshan hai, hair ki grow nahi hoti hai, toh aise mein kuch log bazar se mehangi si mehangi dawai kharidte hai, lekin fir bhi kuch asar nahi karti dawa..log ki preshani aur badh jati hai, wo log ek hak chiz try karte hai hair ke liye par koi fayda nahi hota,, kuch log tension mein aa jate hai,, kya kare aur kya na kare, soch mein padh jate hai,,
Lekin kuch aise gharelu ilaaj hai, jisse apke hair ki problems ko jad se door karta hai aur apke hair ko healthy rakhta hai aur strong banata hai...
Aaj main apko aisi ek gharelu ilaaj ke bare mein batanewali hun...jin ke hair grow nahi karte hai, bahut sara dandruff hai aur girte hai,,
Toh apko iske liye sirf methi ke Beez chahiye aur coconut oil chahiye... ye do chizo se apki sari hair problems door ho jayengi aur hair bahut lambe ho jayenge...
.
Methi ke beezon mein hai bahut sara protein and Nicotinic acid jo hair ko grow karne mein help karta hai, hair ki jadon ko strighten karta hai, uske sath Methi mein Lecithin hai jo hair ko nourish karta hai, hair ko smooth aur shine karta hai, aur scalp problems ko bhi heal karta hai.. toh iss tarah Methi hair ke liye bahut gunkark gharelu upay hai,,
1. HAIR KO LONG AUR STRONG KARNE KE LIYE GHARELU UPAY..
Iss Upay ke liye apko chahiye:-
1) 1 choti katori Methi ke Beej,
METHOD
- Methi ke beezon ko raat bhar pani mein bhigo ke rakhiye,
- Morning mein un Methi ke beezon ko mixture mein dal ke barik pis le,
- ekdum barik pisne ke baad us paste ko apne hair ko laga do,
- Methi ke paste ko pure hair ko aur hair ki jadon ko acchi tarah se lagane ke baad,
- Use 1 ghante tak sukhne dijiye, dry hone ke baad apne hair ko acchi tarah se dho lijiye,
- Hair wash karne ke liye mild shampoo ko use karo,
- Hair wash karne ke baad hair ko acchi tarah se dry kar lo,
Ye Upay week mein 2 / 3 bar use karo, aise karne se apke hair bahut long aur strong ho jayenge, hair fall aur dandruff ki problems bhi door ho jayegi,,
2. HAIR KO STRAIGHT LONG, STRONG, GLOSSY AUR SMOOTH KARNE KE LIYE GHARELU UPAY..
Is Upay ke liye aapko chahiye :-
1) 2 / 3 Tablespoon Methi ke Beej,
2) 6 / 7 Tablespoon Coconut oil,
METHOD
- Pehle ek choti katori lo aur Coconut oil ko garam karo,
- Phir us Garam Coconut oil mein Methi de Beez dal do aur Acche se garam kar lo,
- Uske bad uss Garam Coconut oil ko apne hair mein lagao aur Acchi tarah se massage karo,
- Apne finger se Coconut oil mein deep karke hair ki jado mein Acchi tarah massage karo,
- Ye upay sone se pehle karna hai aur morning mein hair ko Acchi tarah se wash karo,
- Hair wash karne ke liye mild shampoo use karo,,
No comments:
Post a Comment