Tuesday, August 25, 2020

How to use aloe vera gel for hair growth | बालों की ग्रोथ के लिए एलोवेरा जेल का इस्तेमाल कैसे करें

 
Aaj main apko girte huye baalon se bachane ke liye, best gharelu Upay batane wali hun,

aaj kal baal jhadne ki problem bahut badh gai hai, har koi pareshan hai, ki girte huye baalon ko kaise bachaye aur kya istemal kare ki  baal girne se ruk jaye,  sab logo ke baal girte hai aur sab logo ki ek hi problem hai, ki Girte huye baalon ko kaise roke aur konsa aisa upay karna chahiye jisse baal gire kum aur badhe jyada, 

kuch log mehngi si mehngi hair care shampoo aur hair oil kharidte hai lekin kabhi kabhi wo mehnge shampoo aur oil bhi kuch asar nahi karta hai aur aise me kuch log jyada tension mein aa jate hai,  aur iss chakkar mein aur jyada baal girne lagte hai,  logo ki ek hi tension hai,  girte huye baalon ko kaise roke aur konsa aisa upay kare ki baal gire kam aur tezi se badhe jyada, 

Toh isliye mein ek  aisa upah apko bataungi ki iss upay se apke baal bahut tezi se badhenge aur hair grow ke sath sath apke baal bahut mulayaam aur chamkile ho jayenge...

is upay ke liye apko chahiye, aloe vera gel bahut hi faydemand aur upyogi hota hai, hair aur skin ke liye Aloe vera gel mein 80 to 90 % paani hota hai, aur ammonia acid hai, aur Aloe vera gel mein Vitamin A,B,C, aur E hota hai, jo humare health, skin aur hair ke liye bahut hi accha hota hai aur important poshan deta hai, aur baal tutne se bachata hai,

yeh scalp (khopdi) ko cooling agent ki tarah bhi kaam karta hai aur hair ko moisturizer karta hai,

Aloe vera gel bahut hi useful aur asardar hai baalon ke liye isliye apko Aloe vera gel ko use karna chahiye, aap Aloe vera gel agar apke pas nahi hai toh aap ghar mein bhi bana sakte hai ya fir aap Aloe vera gel market se kharid skate ho 

ALOE VERA GEL 


ALOE VERA GEL KYU USE KARNA CHAHIYE -

Aloe Vera Gel Mein Bahut se aise gundharm hai, jo baalon ko girne se bachata hai, aur baalon ko mulaayam banane mein madad karta hai, Aloe Vera baalon ko healthy banakar baalon ko tezi se Badhane mein madad karta hai, Aloe vera gek baalon ka sukhapan kam karta hai, Russi aur khujali wale khopadi ki jaanch karta hai aur bacterial aur fungal sankraman ko thik karta hai, Baalon mein jo bhi infection hai use thik karne mein madad karta hai aur baalon mein jo bhi Dandruff hai use kum karne mein madad karta hai, Aloe vera baalon ko pura poshan deta aur baal ko bahut healthy rakta hai, baalon ko chamkadar banata hai,

Aloe vera gel hair ko grow karne ke liye best gharelu upay hai, Aloe Vera gel ko use karna chahiye... 

AlOE VERA GEL GHAR MEIN KAISE BANAYE -

  • Pebble apko Aloe vera plant lena hai aur uski ek bahar wali paati ko kaatna hai,

  • aur  us pati ke kaate wale side ko kaatna hai, aur halke se uparwale green chilke ko chaku se nikal dena hai,

  • chilka nikalne bad phir Aloe vera ko chamach se nikalkar ek katori mein rakh dena hai,

  • aur us Alov vera ko mixture ke bartan mein dal ke, ek bar pis lena hai,

  • pisne ke bad Aloe vera gel tayar ho jayenga phir us gel ko katori mein nikal lena hai,

  • Aap is Aloe vera gel ko ek bottle mein bhar ke rakh sakhte ho, jab chahe tab is bane Aloe vera gel ka istemaal Kar sakte ho,

ALOE VERA GEL KO  USE KAISE KARE - 

  • Aloe vera Gel ko apne pure baalon mein lagaye,

  • aur baal ke jaadon ko thoda Ragad Ragad ke acche se  lagaye,

  • massage ke bad use 1 ghante tak rakhiye, uske bad accha sa shampoo laga kar baal acche se dho le,


Agar Aloe vera Gel Banane ke liye, apke pas time nah ho, toh aap ek dusra tarike se bhi Aloe Vera use kar sakte ho -

  • Aloe vera ke badiwali paati lena hai, us paati ko kaat ke 2 tukte karo, 

  • phir  Aloe vera 2 tukde ko bich mein se kaat ke apne baalon mein lagaye,

  • Aloe vera baalon ke jaadon mein acche se Ragad Ragad ke lagaye, 

  • pure baalon ko  acche se lagane ke bad 


  • use 1 ghante tak rakhiye phir 1 ghante ke bad accha sa shampoo laga kar baalon ko acche se dho le,



ALOE VERA GEL SE HONEWALE FAYADE-

  • Aloe vera se baal bilkul bhi nahi girenge aur baal bahut tezi se badhenge aur lambe ho jayenge,

  • Aloe Vera se baal ekdaam chamkile ho jayenge aur ghane ho jayenge,

  • Aloe vera se baal bahut hi mulayam aur sundar ho jayenge,

  • Aloe vera gel Dandruff kam ho jayenga,

  • Aloe vera se baalon mein jo bhi infection hai, use thik karne mein madad karenga,

  • Aloe vera baalon mein honewali khujali kum karta hai,

  • Aloe vera se baal bahut strong aur straight ho  jayenge,

  • Aloe vera se Ganjapan door ho jayega aur naye baal ugane mein madad karta hai,

Aloe vera Gel bahut Accha upay hai, har ek baalon ki  samasya door karenga, is Upay ko week mein  2 / 3 baar use karo, jyada use karne se  bahut jaldi aur Asardar fayda hoga,

Apko Aloe vera gel ka upyog hair care routine mein karna chahiye, taki apke baalon ki har ek samasya door ho jayengi,



No comments:

Post a Comment

GNC Whey Protein Powder nutrition facts