Wednesday, April 14, 2021

Momos Chutney Recipe in Hindi | मोमोस चटनी कैसे बनाये | मोमोस चटनी बनाने का तरीका

 


Veg Momos Chutney Recipe

 
aaj kal log momos khana jyada pasand krte hai, momos india me bahot popular  ho gaya hai, momos tamaatar chutney ke sath bahot tasty lagta hai, jin logo ko momos chutney banane nahi ati, toh un logo ke liye ye recipe ekdam perfect  hai aur agar  momos banana bhi nahi ata toh  maine isse pehle veg momos recipe  post  ki hai, momos aur momos ki chutney banana kafi easy aur simple hai, har koi bana sakta hai, 

momos chutney ke bina adhura hai, chutney ke sath hi momos khane mein maza aata  hai, chutney ke sath momos  bahut tasty lagte hai,  momos chutney bahut yummy aur delicious hai, 




Ingredient For Momos Chutney

3-4 tamaatar

2-3 sukhi laal mirch

4-5 lahsun ki kaliya

1 table spoon sugar

½ table spoon black pepper 

½ svaadaanusaar namak



Momos Chutney Banane Ke Tarika..

pehle ek bowl me 3 cup paani gaaram karne rakhe de aur us garam paani mein tamaatar aur laal sukhi mirch dale,
 
tamaatar soft hone tak ubale, uske baad  gass band kar de aur tamaataron  ko thanda hone do,  

ab tamaatar aur sukhi laal mirch ko grander ke chote jaar me dale, phir usme 4-5 lahsun ki kaliya, ½ namak, 1 table spoon sugar, ½ black pepper dale aur pis le, 

 tamaatar ka smooth paste hone tak pise, iss mishran mein paani bilkul bhi milana nahi hai,
 
smooth paste hone ke bad iss mishran ko serving bowl me nikal le, aur ye 
momos chutney tayar hai serve karne liye,


No comments:

Post a Comment

GNC Whey Protein Powder nutrition facts